rah-e-KHirad mein jahan sar hai dard-e-sar bhi hai

rah-e-khirad mein jahan sar hai dard-e-sar bhi hai
ki gu-magu bhi agar bhi hai aur magar bhi hai

faqih-e-shahr muazzaz bhi mo'atabar bhi hai
magar marasim-e-ulfat se be-khabar bhi hai

teri nazar ki nazar bhi nahin nazar bhi hai
jise hamari khabar bhi nahin khabar bhi hai

yahan ki qaid se ghabra raha hai diwana
ki is dayar mein diwar bhi hai dar bhi hai

jahan-e-ariz-o-gesu ajib duniya hai
ki jis mein sham bhi hai sath hi sahar bhi hai

ye dil ki wadi-e-aiman mein kaun aa utra
ki jo jamal-e-nahufta bhi jalwa-gar bhi hai

jo rah ahl-e-khirad ke liye hai la-mahdud
junun-e-jazba-e-ulfat mein mukhtasar bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close