rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe

rah-e-khizan mein talash-e-bahaar karte rahe
shab-e-siyah se talab husn-e-yar karte rahe

khayal-e-yar kabhi zikr-e-yar karte rahe
isi mataa pe hum rozgar karte rahe

nahin shikayat-e-hijran ki is wasile se
hum un se rishta-e-dil ustuwar karte rahe

wo din ki koi bhi jab wajh-e-intizar na thi
hum un mein tera siwa intizar karte rahe

hum apne raaz pe nazan the sharmsar na the
har ek se sukhan-e-raaz-dar karte rahe

ziya-e-bazm-e-jahan bar bar mand hui
hadis-e-shola-rukhan bar bar karte rahe

unhin ke faiz se bazar-e-aql raushan hai
jo gah gah junun ikhtiyar karte rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close