rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya

rah ke makkaron mein makkar hui hai duniya
mere dushman ki taraf-dar hui hai duniya

pak daman thi ye jab tak thi mere hujre mein
chhod ke mujh ko gunahgar hui hai duniya

ain mumkin hai ke bad-nam mujhe bhi kar de
meri shohrat se jo bezar hui hai duniya

tu nahin tha to ye raunaq bhi kahan thi pahle
tere aane se hi gulzar hui hai duniya

apni palkon se jhatakte hue kuchh khwabon ko
le ke angdaiyan bedar hui hai duniya

kuchh dinon se ye khabar gunj rahi hai 'mohsin'
ek shair ki talabgar hui hai duniya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close