rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage

rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage
ban jata hai jangal mein bhi rasta mere aage

main tujh ko sametun yahi koshish rahi har dam
itna na bikhar ai meri duniya mere aage

teri hi tarah main ne lutaya hai sabhi kuchh
sharminda na kar hath na phaila mere aage

kal tak jo bharam tha wo bharam tut gaya hai
shaitan hai koi na farishta mere aage

parbat ki tarah waqt ke sine mein gada hun
chalta hi nahin zor hawa ka mere aage

main ne tujhe anjam se aagah kiya tha
achchha nahin tera ye tadapna mere aage

sahra ka musafir hun main malum hai tujh ko
kyon rakhta hai tu shahr ka naqsha mere aage

bimar na pad jaun main is baat ka dar hai
banta hai har ek shakhs masiha mere aage

duniya ka ye dawa hai ki sab sath hain mere
aa jati hai har bar hi tanha mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close