rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka

rahe khiram salamat nadi ke dhaaron ka
nikal na jae kahin dam magar kinaron ka

tha izitrab-o-tamanna-e-did gul ka karam
bahut kathin tha safar warna kharzaron ka

sata rahi hai dil-e-shab ko kal ke chand ki yaad
uda uda sa hai kuchh aaj rang taron ka

jo khush hai ek to us ki wafa ke charche hain
dukhae dil wo jahan mein bhale hazaron ka

yahi hai lutf to phir jaur kis ko kahte hain
na samjha koi bhi matlab tere ishaaron ka

tan-e-barahna ho jaise libas ka muhtaj
hua hai sher bhi marhun istiaron ka

use to husn ki hurmat ka pas tha itna
ki kaenat muamma hai parda-daron ka

ho ibtila se jahan aashiqi ki paimaish
to kya ajab ho wahan josh be-qararon ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close