raKHt-e-safar hai isMein qarina bhi chahiye

rakht-e-safar hai is mein qarina bhi chahiye
aankhen bhi chahiye dil-e-bina bhi chahiye

un ki gali mein ek mahina guzar kar
kahna ki aur ek mahina bhi chahiye

mahkega un ke dar pe ki zakhm-e-dahan hai ye
wapas jab aao to ise sina bhi chahiye

rona to chahiye hai ki dahliz un ki hai
rone ka rone walo qarina bhi chahiye

daulat mili hai dil ki to rakkho sambhaal kar
is ke liye dimagh bhi sina bhi chahiye

dil kah raha tha aur ghadi thi qubul ki
makka bhi chahiye hai madina bhi chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close