rakhte the taswiron se diwar-o-dar aabaad

rakhte the taswiron se diwar-o-dar aabaad
aise bhi kuchh shahr hue hain mit mit kar aabaad

sar aabaad khayalon se khwabon se nagar aabaad
ek jahan hai bahar apne ek andar aabaad

ishq tha apni jagah atal samjhauta apni ja
ek se dil aabaad raha aur ek se ghar aabaad

sagar sagar rone wale ro kar phir muskae
raat rahe jo basti viran kare sahar aabaad

aao phir se jina sikhen basna basana sikhen
jaise parind shajar se hain aur un se shajar aabaad

aaj to lagta hai har manzar nach raha hai 'shakir'
andar sukh ki dhum machi so bahar hai aabaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close