rang duniya ne dikhaya hai nirala dekhun hai andhere mein ujala to ujala dekhun aaina rakh de mere samne aakhir main bhi kaisa lagta hai tera chahne wala dekhun kal talak wo jo mere sar ki qasam khata tha aaj sar us ne mera kaise uchhaala dekhun mujh se mazi mera kal raat simat kar bola kis tarah main ne yahan khud ko sambhaala dekhun jis ke aangan se khule the mere sare raste us haweli pe bhala kaise main tala dekhun