rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri

rang lati bhi to kis taur jabin-sai meri
jab khud us ko na thi darkar shanasai meri

ye meri chiz hai so is ka bharosa hai mujhe
khud mere kaam na aaegi masihai meri

us ne ek bar to jhanka bhi tha mujh mein lekin
us se dekhi na gai wusat-e-tanhai meri

tum ye kya soch ke guzri thi mere mazi se
tum ye kya soch ke shadabi utha lai meri

bahar-e-payab samajh ke yahan utro na abhi
mera dil khud bhi nahin jaanta gahrai meri

teri khushbu teri tasir juda hai mujh se
teri mitti se na ho paegi bharpai meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close