rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya

rang us mahfil-e-tamkin mein jamaya na gaya
khamushi se bhi mera haal sunaya na gaya

wahshat-e-dil ne hijabaat-e-jahan chaak kiye
ek parda rukh-e-jaanan se uthaya na gaya

ishq ek dagh sahi daman-e-hasti pe magar
khud mashiyyat se bhi ye dagh mitaya na gaya

kar diya daftar-e-hasti to pareshan dal ne
magar ek khwab-e-pareshan ko bhulaya na gaya

wo andhera tha ki hangam-e-sahar bhi hum se
sham-e-andoh-e-judai ko bujhaya na gaya

sarhad-e-ishq se aage na badhi wahshat-e-ishq
husn-e-hushyar ko diwana banaya na gaya

lakh unwan se bhulana unhen chaha tha 'rawish'
kisi unwan se magar un ko bhulaya na gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close