raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai

raqs karti hai faza wajd mein jam aaya hai
phir koi le ke bahaaron ka payam aaya hai

baada-khwaran-e-fana badh ke qadam lo us ke
le ke saghar mein jo sahba-e-dawam aaya hai

main ne sikha hai zamane se mohabbat karna
tera paigham-e-mohabbat mere kaam aaya hai

rahbar-e-jada-e-haq nur-e-khuda hadi den
le ke khaliq ka zamane mein payam aaya hai

teri manzil hai buland itni ki har sham-o-sahar
chand-suraj se tere dar ko salam aaya hai

ho gaya teri mohabbat mein giraftar to phir
taer-e-ruh bhala kab tah-e-dam aaya hai

khud-ba-khud jhuk gai peshani-e-arbab-e-khudi
ishq ki rah mein aisa bhi maqam aaya hai

aasiyo shukr ki ja hai ki ba-faiz-e-khaliq
hum gunahgaron ki bakhshish ka payam aaya hai

haram-o-dair ke logon ki khushi kya kahna
banda-e-khaliq-o-dil-dada-e-ram aaya hai

tishna-kaaman-e-nazara ko ye muzhda de do
be-naqab aaj koi phir sar-e-baam aaya hai

ho mubarak tumhein rindo ki ba-taid-e-khuda
koi chhalkata hua shisha-o-jam aaya hai

jab kabhi gardish-e-dauran ne sataya hai bahut
tere rindon ki zaban par tera nam aaya hai

ahl-e-maghrib ko pila kar mai-e-irfan 'darshan'
phir se mashriq ki taraf arsh-maqam aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close