rasm-e-duniya ko nibhate jaiye

rasm-e-duniya ko nibhate jaiye
gham ko sine se lagate jaiye

bazla-sanji se na baz aae agar
hum na lautenge bulate jaiye

hukm-e-nau ek aur jari ho gaya
chot kha kar muskuraate jaiye

khak nazron mein hamari jhonkiye
khak mein hum ko milate jaiye

aaina ho kar rahungi aap ka
meri nazron mein samate jaiye

zulmat-e-shab ko saja kar taq par
ek diya khud bhi jalate jaiye

hai uthane ki sakat jo aap mein
tohmat-e-duniya uthate jaiye

ratjage 'raziya' se ab hain multamis
yaad ko apni sulate jaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close