raste sikhate hain kis se kya alag rakhna manzilen alag rakhna qafila alag rakhna baad ek muddat ke laut kar wo aaya hai aaj to kahani se hadisa alag rakhna jis se hum ne sikha tha sath sath chalna hai ab wahi batata hai naqsh-e-pa alag rakhna kuza-gar ne jaane kyun aadmi banaya hai us ko sab khilaunon se tum zara alag rakhna laut kar to aae ho tajrabon ki surat hai par meri kahani se falsafa alag rakhna tum to khub waqif ho ab tumhi batao na kis mein kya milana hai kis se kya alag rakhna khwahishon ka khamyaza khwab kyun bharen 'adil' aaj meri aankhon se rat-jaga alag rakhna