raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam

raushan jamal-e-yar se hai anjuman tamam
dahka hua hai aatish-e-gul se chaman tamam

hairat ghurur-e-husn se shokhi se iztirab
dil ne bhi tere sikh liye hain chalan tamam

allah-ri jism-e-yar ki khubi ki khud-ba-khud
ranginiyon mein dub gaya pairahan tamam

dil khun ho chuka hai jigar ho chuka hai khak
baqi hun main mujhe bhi kar ai tegh-zan tamam

dekho to chashm-e-yar ki jadu-nigahiyan
behosh ek nazar mein hui anjuman tamam

hai naz-e-husn se jo farozan jabin-e-yar
labrez aab-e-nur hai chah-e-zaqan tamam

nash-o-numa-e-sabza-o-gul se bahaar mein
shadabiyon ne gher liya hai chaman tamam

us naznin ne jab se kiya hai wahan qayam
gulzar ban gai hai zamin-e-dakan tamam

achchha hai ahl-e-jaur kiye jaen sakhtiyan
phailegi yun hi shorish-e-hubb-e-watan tamam

samjhe hain ahl-e-sharq ko shayad qarib-e-marg
maghrib ke yun hain jama ye zagh o zaghan tamam

shirini-e-nasim hai soz-o-gudaz-e-'mir'
'hasrat' tere sukhan pe hai lutf-e-sukhan tamam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close