raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum

raushni hasb-e-zarurat bhi nahin mangte hum
raat se itni suhulat bhi nahin mangte hum

dushman-e-shahr ko aage nahin badhne dete
aur koi tamgha-e-jurat bhi nahin mangte hum

sang ko shisha banane ka hunar jaante hain
aur is kaam ki ujrat bhi nahin mangte hum

kisi diwar ke sae mein thahar lene de
dhup se itni riayat bhi nahin mangte hum

sari dastaron pe dhabbe hain lahu ke 'azhar'
aise kufe mein to izzat bhi nahin mangte hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close