raushni hi raushni hai shahr mein

raushni hi raushni hai shahr mein
phir bhi goya tirgi hai shahr mein

roz-o-shab ke shor-o-ghul ke bawajud
ek tarah ki khamushi hai shahr mein

rail ki patri pe so jate hain log
kitni aasan khud-kushi hai shahr mein

jo imarat hai wo sar se panw tak
ishtihaaron se saji hai shahr mein

ganw chhode ho chuki muddat magar
'khawar' ab tak ajnabi hai shahr mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close