raushniyan badan badan tere mere lahu se hain

raushniyan badan badan tere mere lahu se hain
lams ki sari lazzaten jism ki haw-hu se hain

qurbat-e-roz-roz mein ranjishen itni badh gain
wo bhi gurez-pa se hain hum bhi bahana-ju se hain

dar hai ki sham-e-hijr mein dil ka diya bujha na den
ab ke hawa ki sazishen shola-e-arzu se hain

jitne khizan ke dhang hain jitne faza mein rang hain
mere hi khar-o-khas se hain mere hi rang-o-bu se hain

meri mata-e-zindagi khwahish-e-zakhm hi to hai
mere junun ke silsile lazzat-e-justuju se hain

khush hain ki laut aae hain sare musafiran-e-gham
garche ye surkh-ru nahin phir bhi ye surkh-ru se hain

jis ke kamal-e-tanz se shahr sarapa zakhm hai
us ko sabhi shikayaten mohsin-e-qand-khu se hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close