rawan hai qafila-e-justuju kidhar mera koi samajh na saka maqsad-e-safar mera sukun-e-ruh mila halqa-e-rasan mein mujhe wagarna bar-e-garan tha badan pe sar mera main apne hath ke chhaale dikhata phirta hun dilae koi mujhe hissa-e-samar mera har ek shajar hai mera yun to sare jangal mein ajab sitam hai nahin saya-e-shajar mera kaho ye abr se kya faeda barasne ka ki ab to jal bhi chuka hai tamam ghar mera isi liye meri manzil na mil saki mujh ko ki mere sath ek rahzan tha ham-safar mera