ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log

ret ke ek shahr mein aabaad hain dar dar ke log
be-zamin be-asman be-panw ke be-sar ke log

mera ghayal jism hai meri rihaish ka pata
main jahan rahta hun rahte hain wahan patthar ke log

ek ek lamha hai qatra zindagi ke khun ka
aafiyat ka sans bhi lete hain to dar dar ke log

aur diwaron se diwaren nikalti hain abhi
sath rah kar bhi alag rahte hain sare ghar ke log

chand mitti ka diya hai ye kise malum tha
aasman-dar-asman udte rahe be-par ke log

jhank kar dekha hai hum ne waqt ke hammam mein
apne hi jaise nazar aae hain duniya-bhar ke log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close