ret ki surat jaan pyasi thi aankh hamari nam na hui

ret ki surat jaan pyasi thi aankh hamari nam na hui
teri dard-gusari se bhi ruh ki uljhan kam na hui

shakh se tut ke be-hurmat hain waise bhi be-hurmat the
hum girte patton pe malamat kab mausam mausam na hui

nag-phani sa shola hai jo aankhon mein lahraata hai
raat kabhi hamdam na bani aur nind kabhi marham na hui

ab yaadon ki dhup chhanw mein parchhain sa phirta hun
main ne bichhad kar dekh liya hai duniya narm qadam na hui

meri sahra-zad mohabbat abr-e-siyah ko dhundhti hai
ek janam ki pyasi thi ek bund se taza-dam na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close