ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhoD aae hain

ret pe sahil ki apne naqsh-e-pa chhod aae hain
ai hawa tere liye apna pata chhod aae hain

laut kar dekhenge us ke aage us ne kya likha
diary mein us ki ek panna muda chhod aae hain

yun asar-andaz akele-pan ka dukh hum pe hua
tote ke pinjre ko aangan mein khula chhod aae hain

shahr mein aa kar bhatakte phir rahe hain dar-ba-dar
sidha sa har rasta apne ganw ka chhod aae hain

guzre kyun mayus ho kar surat-e-sail hua
ek diya dahliz par jalta hua chhod aae hain

jale bun kar makadiyan mahfuz rakhengi use
waqt-e-rukhsat ghar mein nam allah ka chhod aae hain

us ke khali-pan ko bhi bharne ki sochen ai 'niyaz'
waise to ration ka har dibba bhara chhod aae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close