rishta-e-rasm-e-mohabbat mat toD

rishta-e-rasm-e-mohabbat mat tod
tod kar dil ko qayamat mat tod

kaam-e-nakaami bhi ek kaam sahi
tod ummid ko himmat mat tod

raat furqat ki padi hai ai dil
ek hi nale mein taqat mat tod

us ki rahmat ko na be-kar samajh
mai-o-maikhane ki niyyat mat tod

dekh achchhi nahin ye khar-masti
saghar-e-baada-e-fursat mat tod

ai dil ummid-e-rihai mat bandh
aur aafat sar-e-afat mat tod

puchh mat lazzat-e-mai ai waiz
jaanwar dam-e-shariat mat tod

sehan-e-masjid ko kiye ja pamal
qaid-e-ain-e-tariqat mat tod

mai-kada dekh ke jannat ko na bhul
hirs se band-e-qanaat mat tod

is ka ehsan uthana hai hamein
gardan ai bar-e-nadamat mat tod

ai 'qalaq' but-kade mein bandh ehram
hum se lillah rifaqat mat tod


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close