ret par ek nishan hai shayad ye hamara makan hai shayad shor ke bich so rahi hai zamin muddaton ki thakan hai shayad dard ka ishtihaar chaspan hai zindagi ki dukan hai shayad tanha tanha nikal pade panchhi ahd-e-nau ki udan hai shayad aql kahti hai mar chuka rishta shauq kahta hai jaan hai shayad wo jahan par pighal rahi hai dhup han wahin saeban hai shayad aaj wo muskura ke milte hain aaj phir imtihan hai shayad