roz-e-awwal hi KHata-kar banaya gaya hun

roz-e-awwal hi khata-kar banaya gaya hun
aur phir ashraf-e-makhluq bataya gaya hun

tutne aur bikharne pe hai wawaila kyon
dekhiye kitni bulandi se giraya gaya hun

ikhtiyaraat se taqdir se kya lena hai
waqt ki gard mein tinka sa udaya gaya hun

zindagi ek dagar par hi kahan chalti hai
kabhi diwar kabhi dil se lagaya gaya hun

donon hathon se lutate hue ye to sochen
kitni mehnat se mohabbat se kamaya gaya hun

main na yusuf hun na hai koi kharidar mera
jaane kya soch ke bazar mein laya gaya hun

imtihan dene talak yaad jinhen rakha jae
un sawalat ki manind bhulaya gaya hun

nok-e-khanjar se sahi waqt ke hathon lekin
gudgudi kar ke kai bar hansaya gaya hun

is zamane ka hun main ek hansi ka maqruz
jis ki padash mein ek umr rulaya gaya hun

masala yun hi nahin pesh fishaar-e-khun ka
khud se uljhaya gaya aur ladaya gaya hun

ajnabi log zamin-zad nahin lagte hain
aur sayyare pe shayad main basaya gaya hun

confucius ho ki nanak ho ki buddha gautam
so tariqon se sabaq ek padhaya gaya hun

lakh pardon mein sahi meri haqiqat malfuf
main ba-har-rang zamane ko dikhaya gaya hun

mujh ko mahaul muafiq nahin aaya 'jazib'
phul hun aur sar-e-dasht khilaya gaya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close