roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai

roz-e-awwal hi se tafriq ye auqat mein hai
koi hai din ke ujale mein koi raat mein hai

main bhi majmua-e-azdad hun duniya ki tarah
kahin sahra kahin gulzar meri zat mein hai

hai mere gird meri man ki duaon ka hisar
gham nahin hai koi dushman jo meri ghat mein hai

main tahi-dast hun lekin ye pata hai mujh ko
wo mere nam hai jo chiz tere hat mein hai

daman-e-shab mein chamakte hain sitaron ki tarah
aks kis ka ye meri khak ke zat mein hai

tirgi khauf ki pahlu mein basi hai lekin
kuchh umidon ki chamak dil ke mazafat mein hai

mil hi jaegi kahin panw tikane ki jagah
ab sitaron ka jahan meri futuhat mein hai

meri pasti pe bahut tanz na kar chashm-e-falak
us ko bhi dekh bulandi jo khayalat mein hai

ek hi rang mein rahti hai tabiat har dam
farq jade mein na garmi mein na barsat mein hai

dil larazta hai pas-e-parda na ho zahr koi
kuchh ziyaada hi mithas ab ke teri baat mein hai

dekhna wo bhi kahin chhut na jae 'mahir'
jo chamakta hua ek rang riwayat mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close