roz-e-maulud se sath apne hua gham paida lala-san dagh uthane ko hue hum paida hun main wo nakhl ki har shakh meri aara hai hun main wo shakh ki hon barg-e-tabardam paida main jo rota hun mere zakhm-e-jigar hanste hain shadi o gham se kya hai mujhe tauam paida chahne wale hazaron nae maujud hue khat ne us gul ke kiya aur hi aalam paida dard sar mein ho kisi ke to mere dil mein ho dard waste mere hua hai gham-e-alam paida zakhm-e-khandan hain be-ainih lab-e-khandan apne shadmani mein hai yan haalat-e-matam paida aasman shauq se talwaron ka meinh barsa de mah-e-nau ne tere abru ka kiya kham paida kaam apna na hua jab kaji-e-abru se gesu-e-yar hue darham-o-barham paida shubh hota hai sadaf ka mujhe har ghunche par kahin moti na karen qatra-e-shabnam paida chup raho dur karo munh na mera khulwao ghafilo zakhm-e-zaban ka nahin marham paida qulzum-e-fikr mein har-chand lagae ghote durr-e-mazmun koi yaron se hua kam paida dost hi dushman-e-jaan ho gaya apna 'atish' nosh-e-daron ne kiya yan asar-e-sam paida