ru bhi aks-e-ru bhi main

ru bhi aks-e-ru bhi main
main bhi main hun tu bhi main

khud se bach kar jaun kahan
hun goya har su bhi main

le kar rukh par itne kalank
lagta hun khush-ru bhi main

shamil-e-mai paimana bhar
pita hun aansu bhi main

sadqe main un aankhon ke
sikh gaya jadu bhi main

us ki bazm-e-naz se dur
us ke ham-pahlu bhi main

did se be-parwa ho kar
shauq se be-qabu bhi main

bair hi rakhta mujh se sanam
hota gar hindu bhi main

wae tilism-e-naqsh-e-farang
bhul gaya urdu bhi main

qael khud bhi hun 'haqqi'
shaghil-e-illa-hu bhi main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close