ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se

ruh tanha gai jannat ko subuk-sari se
chaar ke kandhe utha jism giranbari se

taq taqat hai gham-e-hijr ki bimari se
baithte uthte hain aahon ki madad-gari se

husn-e-rukhsar badha khat ki numudari se
zinat-e-safha hui jadwal-e-zangari se

tu jo talwar se nahlae lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki bimari se

aur to tark kiya sab ne shab-e-furqat mein
bekasi baz na aai meri gham-khwari se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close