rut badalti hai badalta nahin manzar sain

rut badalti hai badalta nahin manzar sain
ab kahan jae bata tera qalandar sain

ek mere nam nahin teri sakhawat warna
jagmagata hai karishma tera dar dar sain

shahr ka shahr hua jata hai kaise sairab
kaun aaya hai yahan le ke samundar sain

ab to mahsus ye hota hai ki manzil hai qarib
rasta aisa nahin hota munawwar sain

koi kuchh bhi na kahe shahar-e-adawat hi sahi
hum to aabaad hue hain yahan lut kar sain

shairi jis ke liye ki wo sira hai to hai baat
lakh duniya mujhe kahti hai sukhnawar sain

phir kisi roz tamanna ke qadam chumunga
aaj to jaane diya jae mujhe ghar sain

karbala hai to yahan sar ki bhi qimat hogi
kuchh to inam rahega mere sar par sain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close