ruThe hue ki apne zara ab manae zulf

ruthe hue ki apne zara ab manae zulf
pyara hai dil to naz bhi dil ke uthae zulf

dar-guzre dil ki yaad se hum jaan to bachi
pichhe padi hai jaan ke ab kyun bulae zulf

wo kyun batae hum ko dil-e-gum-shuda ka haal
puchhen janab-e-khizr to rasta batae zulf

bikhrae baal dekh liya kis ko baam par
har waqt hae zulf hai har lahza hae zulf

kis tarah un hasinon ke bharti rahi hai kan
pahunche na tere kan mein ai dil sada-e-zulf

bal kha ke dosh-e-naz se girna idhar udhar
wo zulf aur hae wo kafir ada-e-zulf

le kar balaen khud wo kashakash mein pad gaya
dil zulf ko satae na dil ko satae zulf

phande mein us ke tair-e-dil aa rahega aap
murgh-e-nazar ko dam mein pahle phansae zulf

paingae aur ye jaubanon ka rahnuma-e-dil
sad sala zahidon ko to barson jhulae zulf

aashuftagan-e-zulf ka barham hai kyun mizaj
kahta hai kaun koi na ho mubtala-e-zulf

sae se us ke bhagte hain log dur dur
bigdi hui hai aaj-kal aisi hawa-e-zulf

tum nam un ki zulf ko rakhte ho kyun 'riyaz'
sun le tu ek ek ki sau sau sunae zulf


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close