sab hai zer-e-bahs jo zahir hai ya poshida hai aur nazar se apni parda aankh ka bosida hai jab mile tumar-e-agahi se fursat dekhna kin tahon mein ramz-e-aql-e-na-rasa poshida hai kaun sa aansu ho maqbul-e-buna-gosh-e-qubul kis sadaf ko kya khabar hai us mein kya poshida hai be-aman is darja wahshat-khez hai sai-e-junun yak jahan sahra hamare zer-e-pa poshida hai hum musafir aisi manzil ke hue jis ke liye rasta zahir hai lekin fasla poshida hai sarsar-e-hasti mein zinda hai abhi tak ek lau shola-e-dil zer-e-daman-e-hawa poshida hai ek aandhi khak tak meri uda kar le gai main kahan hun sahibo ye majra poshida hai