sab mein hun phir kisi se sarokar bhi nahin

sab mein hun phir kisi se sarokar bhi nahin
ghafil agar nahin hun to hoshyar bhi nahin

qimat agar wo dete hain takrar bhi nahin
kuchh hum ko dil ke dene mein inkar bhi nahin

nisbat hai jism o ruh ki allah-re ittihad
subha agar nahin hai to zunnar bhi nahin

baitha hun us ki yaad mein bhula hun ghair ko
zahid agar nahin hun riya-kar bhi nahin

jaen wo qatl-e-ghair ko hum rashk se maren
aisi to apni jaan se bezar bhi nahin

aana ho aao warna ye kah do na aaenge
sun lo ye do hi baaten hain tumar bhi nahin

sauda tamam ho gaya bazar uth gaya
wo dil bhi ab nahin wo kharidar bhi nahin

tarz-e-jafa bhi bhul gai kya wafa ke sath
dil-dar gar nahin ho dil-azar bhi nahin

lenge hazar dar se palat kar dar-e-murad
munim na den to kya teri sarkar bhi nahin

bhejenge hasb-e-haal unhen go na likh saken
kya daman aur dida-e-khun-bar bhi nahin

bulbul chaman ko dekh khizan ke sitam ko dekh
gul ka to zikr kya hai kahin khar bhi nahin

aazad hain sharab ke aadi nahin 'habib'
ahbab gar pilaen to inkar bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close