sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha

sab tarah ke haalat ko imkan mein rakkha
har lamha use soch mein wijdan mein rakkha

hijrat ki ghadi hum ne tere khat ke alawa
bosida kitabon ko bhi saman mein rakkha

mujh ko meri qamat ke mutabiq bhi jagah di
ye phul utha kar kabhi gul-dan mein rakkha?

ek umr guzari nae aahang se lekin
ajdad ki aqdar ko bhi dhyan mein rakkha

ek roz siyah raat hatheli pe saja kar
sahra ne qadam khitta-e-gunjaan mein rakkha

honton ko sada rakkha tabassum se ibarat
ek zahr-bujha tir bhi muskan mein rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close