saba ka narm sa jhonka bhi taziyana hua ye war mujh pe hua bhi to ghaebana hua usi ne mujh pe uthae hain sang jis ke liye main pash pash hua ghar nigar-khana hua jhulas raha tha badan garmi-e-nafas se magar tere khayal ka khurshid shamiyana hua khud apne hijr ki khwahish mujhe aziz rahi ye tere wasl ka qissa to ek bahana hua khuda ki sard-mizaji sama gai mujh mein meri talash ka sauda payambarana hua main ek shajar ki tarah rah-guzar mein thahra hun thakan utar ke tu kis taraf rawana hua wo shakhs jis ke liye sher kah raha hun 'nasir' ghazal sunae hue us ko ek zamana hua