sabz hai pairahan chand ka aaj phir rang-e-rukhsar hai surkh sa aaj phir kar gai kaam teri ada aaj phir sehn-e-gul ne kaha marhaba aaj phir tere paikar ko chhu kar chali aai hai marmarin hai badan raat ka aaj phir le ke aaghosh mein chand ko aasman munh zamin ko chidhata raha aaj phir yaad chandan-wanon se guzarti rahi man mein sandal mahakta raha aaj phir dil ki nakaamiyan hi khata-war hain wo gunahon ka hai dewta aaj phir chand suraj hue aamne-samne imtihan sagaron ka raha aaj phir aao 'alok' sair-e-chaman ko chalen uth ke aai hai kali ghata aaj phir