sada rahe tera gham salamat yahi asasa hai aabru ka ye daulat-e-dil baham na hoti to kaun pursan tha aarzu ka umad ke aaya hai ai azizo rawish rawish sail rang-o-bu ka magar na phir bhi nasib chamka agar meri khak-e-be-numu ka misal-e-subh-e-bahaar tu hai to main hun sham-e-khizan ki surat chaman chaman khar-o-khas se mere farogh hai tere rang-o-bu ka base to mere masham-e-jaan mein mahak tere nama-e-nafas ki khule to parcham kabhi mere dosh par teri zulf-e-mushkbu ka musafiran-e-safina-e-jaan rawan hain kin manzilon ki jaanib hawa ki zad par shab-e-siyah mein alam kiye baadban lahu ka qaba-e-jaan tar tar apni hui bahut kawish-e-rafu mein magar isi se khula hai aakhir bharam har ek chaak har rafu ka jo mere ehsas-e-be-zaban ko zaban mili to chamak utha hai sharara ban kar kahin nawa ka charagh ban kar kahin pe lu ka