sadaf ke karb ko wo manta hai

sadaf ke karb ko wo manta hai
ek ek moti ki qimat jaanta hai

nafasat se banata hai khilaune
pasine se jo mitti santa hai

kahin jaun wo mujh ko dhund lega
mujhe mera amal pahchanta hai

mayassar hai hawa-e-dasht us ko
rida-e-gard se jo chhanta hai

jo rahta hai azal ki justuju mein
wo duniya mein kise gardanta hai

mere qadmon se wabasta masafat
mujhe har rasta pahchanta hai

mubarak tujh ko teri be-zamiri
mujhe is jurm mein kyun santa hai

kasafat se hai tauqir-e-latafat
andhera raushni ko chhanta hai

jise hai yaad qaumon ki kahani
hawa ke rukh ko wo pahchanta hai

azal se 'ramz' ye zeb-e-nazar hai
kahin salma kahin wo kanta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close