sadiyon ki shab-e-gham ko sahar hum ne banaya zarraat ko khurshid o qamar hum ne banaya takhliq andheron se kiye hum ne ujale har shab ko ek aiwan-e-sahar hum ne banaya barfab ke sine mein kiya hum ne charaghan har mauja-e-dariya ko sharar hum ne banaya shabnam se nahin, rang diya dil ke lahu se har khar ko barg-e-gul-e-tar hum ne banaya har khar ke sine mein chaman hum ne khilae har phul ko firdaus-e-nazar hum ne banaya raftar ko khilte hue ghunchon ki sada di har gam ko ek khuld-e-nazar hum ne banaya har rukh se tere husn ki zau phut rahi hai kya zawiya-e-fikr-o-nazar hum ne banaya ashkon ko shafaq-rang kiya khun-e-jigar se kya ghaza-e-rukhsar-e-sahar hum ne banaya dhalte hain jahan baada-e-tajdid ke saghar wo mai-kada-e-fikr-o-nazar hum ne banaya