saDkon pe ghumne ko nikalte hain sham se

sadkon pe ghumne ko nikalte hain sham se
aaseb apne kaam se hum apne kaam se

nashshe mein dagmaga ke na chal sitiyan baja
shayad koi charagh utar aae baam se

dam kya laga liya hai ki sare dukan-dar
chakhne mein lag rahe hain mujhe tursh aam se

ghusse mein daudte hain trak bhi lade hue
main bhi bhara hua hun bahut intiqam se

dushman hai ek shakhs bahut ek shakhs ka
han ishq ek nam ko hai ek nam se

mere tamam aks mere karr-o-farr ke sath
main ne bhi sab ko dafn kiya dhum-dham se

mujh be-amal se rabt badhane ko aae ho
ye baat hai agar to gae tum bhi kaam se

dar to ye hai hui jo kabhi din ki raushni
us raushni mein tum bhi lagoge awam se

jis din se apni baat rakhi shaeri ke bich
main kat ke rah gaya shoara-e-karam se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close