sae ki tarah koi mere sath laga tha kya ghar ki tarah dasht bhi aaseb-zada tha pursish ko na tha koi to tanha tha bahut main mahrum jo tha sab se khafa rahne laga tha har dam nae ehsas ka tufan tha dil mein kya jaaniye main kaun si mitti se bana tha kya kya na pareshani-e-khatir se guzar aae kya kya na pade ranj ki dekha na suna tha nale ko usi dil mein utar jaane ki hasrat aur nai ko usi bhulne wale ka gila tha aashuftagi-e-sar ki jo tohmat hai ghalat hai main apni hi khushbu se pareshan phira tha ye kaun dil-o-jaan se ham-ahang hua hai is darja to mahsus khuda bhi na hua tha