sae se hausle ke bidakte hain raste

sae se hausle ke bidakte hain raste
aage badhun to pichhe sarakte hain raste

aansu hazar tut ke barsen to pi ke chup
ek qahqaha ude to khanakte hain raste

samjho to ghar se ghar ka talluq unhi se hai
dekho to be-maqam bhatakte hain raste

daman mein un ke panw ke aise nishan bhi hain
rah rah ke jin ke dam se damakte hain raste

taron ki chhanw narm hai sun leti hai pukar
din bhar ki dhup mein jo bilakte hain raste

rahe chalen jo hum to chale aaen ye bhi sath
qadmon ki pith par hi thitakte hain raste


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close