saf baaton mein to kudurat hai

saf baaton mein to kudurat hai
aur lagawat se zahir ulfat hai

ghair se bhi kabhi to bigdegi
ruthna to tumhaari aadat hai

aap ke lutf mein to shak hi nahin
dil ko kis baat ki shikayat hai

us sitamgar se shikwa kaise ho
aur ulti mujhe nadamat hai

bole dikhla ke aaina shab-e-wasl
dekhiye to yahi wo surat hai

maut ko bhi nazar nahin aata
na-tawani nahin qayamat hai

kuchh kaha hoga us ne bhi qasid
kuchh na kuchh teri bhi shararat hai

kaho sab kuchh na ruthne ki kaho
ye hi kahna tumhaara aafat hai

wah kya teri shairi hai 'nizam'
kya fasahat hai kya balaghat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close