safar-ba-khair pa rakht-e-safar na le jaana zamin ki hasraten ab chand par na le jaana widaa ki sham inhi sahilon pe rahne do utha ke dasht kahin apne ghar na le jaana meri thaki hui zulmat-gurez palkon se kahin umid-e-numud-e-sahar na le jaana mata-e-arz tha dharti pe laut aaya hai kisi ko arsh pe bar-e-digar na le jaana ye pas hoga to tum sa talash kar lunga chale to ho mera husn-e-nazar na le jaana