safar-e-zindagi nahin aasan har taraf rah mein hain sang-e-giran dur ho jaen dukh zamane ke sahab-e-dard ho agar insan sochna pad gaya zamane ko mit ke bhi hum na jab hue arzan tu ise tanz kyun samajhta hai main to haalat kar raha hun bayan ji raha hun kuchh is tarah jaise aag lag jae aur ho na dhuan tu meri baat ka jawab na de main samajhta hun khamushi ki zaban nukta-chini hasad dil-azari aur kya hai mata-e-be-hunaran mujh ko us ko talash hai 'rifat' jo mere dil mein hai kahin pinhan