safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb

safar kahne ko jari hai magar azm-e-safar ghaeb
ye aisa hai ki jaise ghar se hon diwar-o-dar ghaeb

hazaron mushkilen aain wafa ki rah mein mujh par
kabhi manzil hui ojhal kabhi rah-e-safar ghaeb

ajab manzar ye dekha hai khirad walon ki basti mein
yahan sar to salamat the magar fikr-o-nazar ghaeb

hasin mausam ne nazren pher lin apne taghaful par
hue raftar-e-duniya ke sabab sham-o-sahar ghaeb

parindo laut kar aana zara jaldi udanon se
na ho jaen kahin aangan se ye budhe shajar ghaeb

ye kis ki surkhi-e-rukh sham ke chehre pe utri hai
ki jis ke rang mein mil kar hue zakhm-e-jigar ghaeb

kami pahle hi thi shayan ahl-e-zarf ki lekin
nazar se ho rahe hain aaj kal ahl-e-nazar ghaeb


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close