safar ki dhul ko chehre se saf karta raha

safar ki dhul ko chehre se saf karta raha
main us gali ka musalsal tawaf karta raha

ye meri aankh ki masjid hai panw dhyan se rakh
ki is mein khwab koi etakaf karta raha

main khud se pesh bhi aaya to intiha kar di
mujh aise shakhs ko bhi wo muaf karta raha

aur ab khula ki wo kaba nahin tera ghar tha
tamam umr main jis ka tawaf karta raha

main lau main lau hun alaw main hun alaw 'nadim'
so har charagh mera e'tiraf karta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close