sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main

sahar aur sham se kuchh yun guzarta ja raha hun main
ki jita ja raha hun aur marta ja raha hun main

tamanna-e-muhaal-e-dil ko juzw-e-zindagi kar ke
fasana zist ka pechida karta ja raha hun main

gul-e-rangin ye kahta hai ki khilna husn khona hai
magar ghuncha samajhta hai nikharta ja raha hun main

mera dil bhi ajab ek saghar-e-zauq-e-tamanna hai
ki hai khali ka khali aur bharta ja raha hun main

kahan tak irtibaat-e-jaan-o-jaanan ka talluq hai
sanwarte ja rahe hain wo sanwarta ja raha hun main

jawani ja rahi hai aur main mahw-e-tamasha hun
udi jati hai manzil aur thaharta ja raha hun main

bahut uncha uda lekin ab is auj-e-takhayyul se
kisi duniya-e-rangin mein utarta ja raha hun main

'nushur' aakhir kahan tak fikr-e-duniya dil dukhaegi
gham-e-hasti ko zauq-e-sher karta ja raha hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close