sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui

sahar ko bhi meri mahfil mein barhami na hui
tamam-raat hui dard mein kami na hui

ghurur-e-husn tamanna-e-dil ka dushman tha
wo kaun din tha ki jis din hamahami na hui

umand rahi hai mere dil ke sath barson se
ye koi nahr hui aankh ki nami na hui

main apne qatl ka shaki nahin hua to hua
ye ranj hai ki tere zulm mein kami na hui

lahad pe aane ki andaz saikdon the magar
khush aai waza unhen wo jo matami na hui

ulat ulat gae dil mere intiqal ke baad
ye kya ki aap ki zulfon mein barhami na hui

hazaron uth gae aaghosh-e-dahr se lekin
ajib ghar hai zamana jahan ghami na hui

ye jism ruh-e-bahi-khwah ka raha dushman
tamam-umr kabhi sulh-e-bahami na hui

har ek ke liye khincha rawa nahin 'saqib'
bhawon ka husn hi kya hai agar khami na hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close