sahilon se dur jis din kashtiyan rah jaengi chaar jaanib khali khali bastiyan rah jaengi phir samundar mein utar jaega pani bund bund jal mein dam todti kuchh machhliyan rah jaengi ye tawana jism thak kar ek din gir jaega khaal ke andar phadakti pasliyan rah jaengi baghbanon ka chaman yunhi raha to ek din bagh ki pahchan bas do titliyan rah jaengi main na kahta tha ki dil ki baat kahne ke liye khokhle alfaz ki baisakhiyan rah jaengi yun agar ghatte rahe insan to 'khalid' dekhna is zamin par bas khuda ki bastiyan rah jaengi