sahra nadi pahaD samundar ye dasht sab

sahra nadi pahad samundar ye dasht sab
dikhlae sab khuda ki ye wusat kahan kahan

har samt har tarah ke dikhe us ke moajize
jaise khuda ne likh di ibarat kahan kahan

sawan mein sabziyat se hai sairab ye faza
bahlaun main ilahi tabiat kahan kahan

koi na jaan paya khuda ki khudai ko
ye gham kahan kahan ye masarrat kahan kahan

andar zara to jhankte apne ko bhul kar
bahar khuda ki dhundhte surat kahan kahan

rutba hai zindagani-o-niyyat khuda se tai
insan phir bhi karta mashaqqat kahan kahan

insaniyat ata to ki insan ko khuda
phaila raha wo dekh tu dahshat kahan kahan

kahta naman ki ek khuda hai jahan mein
jaise bhi phir ho us ki ibaadat kahan kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close